Kal 26 january thi.. yani ki hamara republic day.. Rashtrapati bhavan se lekar india gate tak log hi log the jo apni desh bhakti ki bhavna ka bakhan karne aaye the.. mai bhi gayi thi waha... or waha par baithe logo ka utsah dekhkar mann khush ho gaya.. ki aaj bhi aise bhartiye hai jo national holiday ko sone ke bajaye subah subah milo dur paidal chalkar jhankia dekhne jate hai...... or agar in logo me koi aisi machine lagai jaye jisse hum inki deshbhakti naap sake to mai gurantee ke sath keh sakti hu ki sare meter ki suiya tut jayengi...
par zara aap sochiye... ki subse jyada abhimaan , subse jyada deshbhakti sirf 26 january or 15 august ko hi kyu hota hai.... kyu isi din hum apne desh ke jawano or krantikario ko yad karte hai,... kya inki kurbani mehaz en chand dino ki mohtaz bankar reh gayi hai....kyu hume deshbhakti ke geet sunkar hi humari sanskriti par garv hota hai...... kya hamare busy schedule ke aage inka balidaan itna chota ho gaya hai ki hume inke aage sar natmastak karne ka samay bhi nai milta... kyu hum sirf isi din kehte hai ki we are proud to be an indian.. saal ke baki ke 364 din hume bhartiye hone par garv nahi hota... hamare desh me kai log aise bhi hai jo inke atulye sahas or jazbe ko bhula baithe hai or 26 jan. or 15 aug. inke liye national holiday se jyada or kuch nahi hai...
mujhe pata hai en sawalo ke jawaab aaj tak kisi ko nahi mile or na milenge kyuki insaan aaj itna khudgarz ho gaya hai ki wo apne alava kisi or ke bare me na hi sochna chahta hai or na sochne ki koshish karta hai... aise me mujhe garv hai apne dost jt par jo apne desh ko har pal , har lamha yaad karta hai or uspar garv karta hai... mai kisi ke mann ne apne desh ke liye bhav nahi jaga sakti par ek vinti kar sakt hu ki agar aap apne desh ke liye kuch jyada nahi kar sakte to bus itna kar le ki rashtriya gaan ke waqt yani ke mehaz 51 second ke liye hi sahi. apne tan man or dimaag teeno se .. khud ko desh ko samarpit ke liye samarpit kare...
JAI HIND
truly an amazing piece of writing...
ReplyDeletetruth revld......nyc 1 yet again!!!!!
ReplyDelete