About Me

My photo
I AM LIKE A SOLITARY WAVE REVOLVING AROUND THE UNIVERSE TO SPREAD BEATITUDE IN THIS WORLD.

Click here for Myspace Layouts

Saturday, January 29

LONG DISTANCE RELATIONSHIP

LONG WAY TO GO

Gone were the days when long distance relationships go on very easily. Although the communication media between the love birds were birds themselves or more precisely letters and chits but today even after having so many mediums and methods to reach your loved ones , long distance relationships doesn’t seems to work for long. Out of sight; out of mind is the theme which today’s youngsters are applying on their relations.

It’s the fact that physical presence of anyone could make more impact than the virtual one but when it comes to real passion of love and charm even virtual presence is felt physically and emotionally.

The life schedule of gen x is so hectic that they need apt space and freedom even from their counterparts. Between these spaces and void many people marks their presence in their lives and if chances prevailed on their heart and mind too. This could be regarded as a speed breaker in the road of relation. If your wheeler is in speed (means if it is full of transparency and trust), it will easily tolerate this jerk but if it is in already in slow motion (means if it is lacking a sense of security and loyalty) then it may even stop.

What really a long distance relationship demands is mutual understanding, trust, unlimited love… and most important of all SPACE. What generally leads to end of the relationship is the lack of quality time they would have spent with each other if they were near. Not giving enough attention and care to the loyal partner hurts their sentiments and gives him/her the strong reason to look for a new emotional support from the opposite sex and hence the third person enters in a relationship of two and the twist arrives with him/her, when the same loyal partner either start cheating the other one or just ditch them ruthlessly. Here comes the sad end to a sweet relationship due to lack of patience, space and support.

What could be suggested to them, no counselor can tell. If one really wants to kill the distance in a long distance relationship then he /she or both the person should create the symphony of love, emotions, trust with a pinch of understanding … and then just wait and watch how life turns into a magical series.

Friday, January 28

SANDUK ME BUND ….WO KYA THA!!!

Title padhte hi aapko laga hoga ki jaise ye koi kavita ya sher o shairy hogi par afsos… unme se ye kuch bh nahi hai.. ye to bus kuch ek jazbaat hai jo kabhi aankho se aansu banker behte hai kabhi kalam se syahi banker…. Ye wo kuch beete pal hai jinhe hum kuch khaas ke sath jeete hai par waqt ke sath sath hum inhe bhul baithte hai…

Kal jub mai apna wahi apna purana sanduk lekar baithi to laga jaise wahi arsa aankho ke samne aankh micholi khelne laga ho, theek waise hi jais mai apne dost yaro ke sath khela karti thi din bhar, bina kisi chinta ke … na mujhe koi fikr hua karti thi nahi mere maa bauji ko.. kyuki tub samay kuch or tha… building me jitney bhi ghar hua karte the wo sare ek parivaar jaise rehte the… kisi ghar ka bacha kisi ke ghar me bhi khana kha lia karta tha…. Par aaj to ye sub kahai dikhta hi nahi mujhe… padosi padosi ka naam nahi janta…. Jarurat ke samay madad to dur ki baat hai , koi darwaza kholne ki bhi zehmat nai uthata…. Jane kaha gaye wo din jub kisi ek ghar me pareshani aa jane se mohalle bhar ke log uski himmat badhane aa jate the… aaj wahi log himmat badhane ke bajaye tamasha khada kar dete hai….

Kher, mai aapko apne sanduk ke bare me bata rahi thi… us snduk me kai sari purani cheze nikli… jo mere dil ke behad kareeb thi… par fir bhi usey ek band sanduk me rakhna pad rha tha … sirf is dar se ke log kya kahenge…..

Us sanduk me se nikli ek photo … thodi si fatti hui thi par chehre pehchane ja sakte the… wo photo thi meri 11th standard ki class photo.. jisme sare bache ek halki si muskurahat ke sath pose banaye khade the…mai bhi khadi thi us photo me…. Theek apni class teacher ke peeche….. wo photo dekhte hi wo pura samay chakra meri aankho ke samne dobara ghumne laga… or subse pehle jo mujhe yad aaya wo tha class ka wo din jub mujhse pucha gaya ki mai kya banna chahti hu or maine jawab diya journalist…. Class me baithe baki ke 45 baccho ki 90 aankhe mujhe kuch is kadar ghurne lagi ke mano maine koi dusri bhasha ka prayog kar dia ho… ye hiona wajib bhi tha kyuki waha baithe har bache ka ek hi sapna tha… docter/engineer banna…

Kher iske alava usme se mujhe purane note bhi mile jo puri tarah gal gae the… haalaki wo jyada purane nahi the par wo rakhe kuch is tarah the ki unka galna lazmi tha… ye wahi note the jo mujhe apna school top karne ki khushi me mile the…. Rs.1500, kehne ko ye behad choti rakm hai par mere liye yehi meri daulat hai…

En sub se chupakar maine or kuch bhi rakha tha or wo tha ek pyara sa tohfa jo mujhe kisi khas ne dia tha… us umr me jo ehsas tha wo pyar tha ke nahi ye mujhe nahi pata par jo tha apne samay ke liye bahtareen tha… par mere liye to dunia ka subse khubsoorat tohfa wo hi rahega or wo hai bracelet… nago se jada wo ek nayab sa tohfa , mere liye hi bana tha …. Aur jub bhi mai usey pehanti thi to meri aankho me khushi ki lehar daud jati thi...

Motio ki mala jaisi hamari zindagi bhi ktne hi khubsoorat lamho se bani hai … jinhe hum pal pal jeete hai…. Ye hamara haq hai or hamare farz bhi ki hum apni zindagi ko kabhi udaas na hone de or uska har lamha , har pal, khushio se labalab kar de…

Thursday, January 27

SIRF ISI DIN KYU???

Kal 26 january thi.. yani ki hamara republic day.. Rashtrapati bhavan se lekar india gate tak log hi log the jo apni desh bhakti ki bhavna ka bakhan karne aaye the.. mai bhi gayi thi waha... or waha par baithe logo ka utsah dekhkar mann khush ho gaya.. ki aaj bhi aise bhartiye hai jo national holiday ko sone ke bajaye subah subah milo dur paidal chalkar jhankia dekhne jate hai...... or agar in logo me koi aisi machine lagai jaye jisse hum inki deshbhakti naap sake to mai gurantee ke sath keh sakti hu ki sare meter ki suiya tut jayengi...
par zara aap sochiye... ki subse jyada abhimaan , subse jyada deshbhakti sirf 26 january or 15 august ko hi kyu hota hai.... kyu isi din hum apne desh ke jawano or krantikario ko yad karte hai,... kya inki kurbani mehaz en chand dino ki mohtaz bankar reh gayi hai....kyu hume deshbhakti ke geet sunkar hi humari sanskriti par garv hota hai...... kya hamare busy schedule ke aage inka balidaan itna chota ho gaya hai ki hume inke aage sar natmastak karne ka samay bhi nai milta... kyu hum sirf isi din kehte hai ki we are proud to be an indian.. saal ke baki ke 364 din hume bhartiye hone par garv nahi hota... hamare desh me kai log aise bhi hai jo inke atulye sahas or jazbe ko bhula baithe hai or 26 jan. or 15 aug. inke liye national holiday se jyada or kuch nahi hai...
mujhe pata hai en sawalo ke jawaab aaj tak kisi ko nahi mile or na milenge kyuki insaan aaj itna khudgarz ho gaya hai ki wo apne alava kisi or ke bare me na hi sochna chahta hai or na sochne ki koshish karta hai... aise me mujhe garv hai apne dost jt par jo apne desh ko har pal , har lamha yaad karta hai or uspar garv karta hai... mai kisi ke mann ne apne desh ke liye bhav nahi jaga sakti par ek vinti kar sakt hu ki agar aap apne desh ke liye kuch jyada nahi kar sakte to bus itna kar le ki rashtriya gaan ke waqt yani ke mehaz 51 second ke liye hi sahi. apne tan man or dimaag teeno se .. khud ko desh ko samarpit ke liye samarpit kare...
JAI HIND

Tuesday, January 25

Relationship portability….


Kuch dino pehle ek nayi scheme bazaar me aayi hai …jise sub number portability ke naam se jante hai… iske according hum apna number change kiye bina apna operator change kar sakte hai… hmm… mujhe pata hai ye behad hi dil chasp scheme hai par zara sochiye agar humari zindagi me jitney bhi relations hai, unme bhi portability aa jaye to….matlub insaan wahi rahe par uske sath rishta badal jaye. I know bohat hi jyada interesting changes aayenge… sabse pehli cheez jo mere dimaag me click kari wo thi ke mai apne teachers ko apna student bana lungi because har student ki tarah mujhe bhi yehi lagti hai ki mujhe apne teachers se jyada aata hai… and second baat jo mere dimaag me aayi wo thi apni mumma ko apna bacha banana ki… kher iske to do reasons hai… pehla ye ki aaj tak jitni bhi dant mujhe padi hai aaj tak subka chun chun k badla le lungi and secondly meri maa ne aajtak mere liye jo bhi kiya hai usey repay kar sakungi.. vaise ek or jagah hum relationship portability laga sakte hai or wo hai office… office me apne bosss ko apna junior bana lo … or phir jitni bhi band usne aapki bajai hai , aap uski usse double bajana.. aapka hisaab bhi barabar ho jaega.. or kaha kaha relationship portability aap laga sakte hai… sochiyega… I know aisa such to ho nahi sakta par khayali pulav pakane me kya harz hai mere dost…. Sochte rahiye …. Aasar ke sath or apna khayal rakhiye…. Haste rahiye muskuratte rahiye… kyuki ye dunia behad haseen hai mere dostJJ

Monday, January 24

JUST IMAGINE.....

could anybody imagine the benefits of price rise of petrol and diesal... and if not benefits can you atleastthink about the uses of this inflation.. if not then you should surely read it.... petrol and diesal mehange hone ka subse bada fayda ye hoga ki you can gift it to anybody.... kisi ki shadi me, birthday me... de aao usey... by god ki kasam, banda khush ho jayega or aapko bhi nahi sochna padega ki kya de kya na de… and aap hi socho ….aap bhi to aisa hi gift hi dena chahte the jo useful hone ke sath sath memorable ho.. to fir isse jyada better option kaha milega or janab bataega bhi kaun… acha ek or use batati hu petrol diesal ko aap as a currency bhi use kar sakte hai…. Pehle ke zamane me dal, chawal, gehu ki boria as a token of give and take use hoti thi .. In this respect I think that history repeats itself ka nara ekdum best sabit hoga.. moreover zara sochiye agar aapki gadi petrol diesel ki mehak se hi chalne lage to… aapka kitnaa kharcha bachega….. bus thodi thodi der me gadi ko sughante rahiye… haa, thoda time consuming hai but sochiye aapke paise kitne bachenge.. kuch bachane ke liye kuch to khona padega na… and one more thing aap ki kasrat bhi hoti rahegi…..acha ek or trend maine dekha hai aajkal wo hai ke aajkal game show me bhi petrol diesel as a gift price milne laga hai .. ye bhi badia hai… kuch nahi to petrol diesel hi de do … …

Vaise kuch bhi kaho aaj ka market dekhte huye ek bat to pata lag gai… khane, peene or jarurat…. Teeno hi cheese ek hi rate par mil rahi hai… Rs.65/-.. only… arey yar mere kehne ka matlab hai pyazz, petrol or paua.. aka beer .. teeno k eek hi rate hai.. what a anomaly na… par on a serious note mujhe ab ye lagna laga hai ke b wo din dur nahi jub car, scooter ke saath petrol diesel nahi, Petrol diesel ke sath car , scooter free aayega… and sath me cycle bhi di jayegi…so that in case of emergency wo bhi kaam aa jaye… chaliye… aaj ke liye etne hi kafi tha.. phir kabhi or likhungi kisi naye topic par kachar kachar karne .. till then take care…… cya… love u allJJ